hikmat se ye Khaali nahin labrez saqi jam kar
hikmat se ye Khaali nahin labrez saqi jam kar
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
hikmat se ye ḳhālī nahīñ labrez saaqī jaam kar
daur-o-tasalsul meñ na phañs dīvāngī meñ naam kar
kahte haiñ tujh se be-ḳhabar auqāt ko zaa.e' na kar
jo kaam kal aave tire so aaj tū vo kaam kar
jo jo balā.eñ āfateñ aatī haiñ terī jaan par
tū jaan hī se haath uThā phir shauq se ārām kar
dāġh-e-jigar ke ye dey chāhe ki tū raushan raheñ
is raushnī ke charḳh meñ tū roġhan-e-bādām kar
maqsūd agar manzūr hai ronā agar matlūb hai
le shaam se tā-sub.h kar phir sub.h se tā-shām kar
sun baat to ye 'ishq kī ai shaiḳh agar daanā hai tū
razzāq hai rozī-rasāñ tasbīh ko mat daam kar
hikmat se ye KHali nahin labrez saqi jam kar
daur-o-tasalsul mein na phans diwangi mein nam kar
kahte hain tujh se be-KHabar auqat ko zae' na kar
jo kaam kal aawe tere so aaj tu wo kaam kar
jo jo balaen aafaten aati hain teri jaan par
tu jaan hi se hath uTha phir shauq se aaram kar
dagh-e-jigar ke ye dey chahe ki tu raushan rahen
is raushni ke charKH mein tu roghan-e-baadam kar
maqsud agar manzur hai rona agar matlub hai
le sham se ta-subh kar phir subh se ta-sham kar
sun baat to ye 'ishq ki ai shaiKH agar dana hai tu
razzaq hai rozi-rasan tasbih ko mat dam kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.