baaten bana na itni zahid tu baiTh ja kar
baaten bana na itni zahid tu baiTh ja kar
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
bāteñ banā na itnī zāhid tū baiTh jā kar
paayā hai us sanam ko ham ne ḳhudā ḳhudā kar
jaur-o-jafā uThā kar teġh-e-sitam ko khā kar
bāñkā tujhe banāyā ab 'ishq ko du'ā kar
dil dard se tū ḳhūgar mat hañs ke ho pareshāñ
ġhuncha ne kuchh bhī paayā gulshan meñ khilkhilā kar
nāseh tū sa'ī apnī zaa.e' na kar butāñ se
dil to judā na hogā haañ sar ko le judā kar
raushan charāġh-e-ulfat siina meñ 'ishq ke thā
kuchh haath tere aayā zālim use bujhā kar
baaten bana na itni zahid tu baiTh ja kar
paya hai us sanam ko hum ne KHuda KHuda kar
jaur-o-jafa uTha kar tegh-e-sitam ko kha kar
banka tujhe banaya ab 'ishq ko du'a kar
dil dard se tu KHugar mat hans ke ho pareshan
ghuncha ne kuchh bhi paya gulshan mein khilkhila kar
naseh tu sa'i apni zae' na kar butan se
dil to juda na hoga han sar ko le juda kar
raushan charagh-e-ulfat sina mein 'ishq ke tha
kuchh hath tere aaya zalim use bujha kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.