na wafa se na hai jafa se gharaz
na vafā se na hai jafā se ġharaz
sirf hai mujh ko be-vafā se ġharaz
ḳhaak ko vo uḌā ke pahuñchāve
tā-chaman itnī hai sabā se ġharaz
be-ġharaz dost jo jahāñ meñ haiñ
kab vo rakhte haiñ āshnā se ġharaz
ḳhūn-e-dil hī hamārā kaafī hai
chhoḌ yak-musht tū hinā se ġharaz
iltijā ġhair se na kar tū 'ishq'
kah jo kuchh tujh ko ho ḳhudā se ġharaz
na wafa se na hai jafa se gharaz
sirf hai mujh ko be-wafa se gharaz
KHak ko wo uDa ke pahunchawe
ta-chaman itni hai saba se gharaz
be-gharaz dost jo jahan mein hain
kab wo rakhte hain aashna se gharaz
KHun-e-dil hi hamara kafi hai
chhoD yak-musht tu hina se gharaz
iltija ghair se na kar tu 'ishq'
kah jo kuchh tujh ko ho KHuda se gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.