mujhko begana samajhte ho ilahi ab tak
mujh ko begāna samajhte ho ilāhī ab tak
baat jo karte ho tum vāhī-tabāhī ab tak
dil to be-zār jafāoñ se tire phirtā hai
rabt jaatā huuñ liye ḳhvāhī na ḳhvāhī ab tak
kaifiyyat kaif kī chhuptī hai chhupāte ho 'abas
chashm-e-mai-ḳhvārī pe detī haiñ gavāhī ab tak
raat rahte ho kahīñ din ko kahīñ phirte ho
tis pe hai dekhne kī ham ko manāhī ab tak
qatl ke vaqt kahā mujh se dam-e-ḳhanjar ne
'ishq' shābāsh tujhe kis se nibāhī ab tak
mujh ko begana samajhte ho ilahi ab tak
baat jo karte ho tum wahi-tabahi ab tak
dil to be-zar jafaon se tere phirta hai
rabt jata hun liye KHwahi na KHwahi ab tak
kaifiyyat kaif ki chhupti hai chhupate ho 'abas
chashm-e-mai-KHwari pe deti hain gawahi ab tak
raat rahte ho kahin din ko kahin phirte ho
tis pe hai dekhne ki hum ko manahi ab tak
qatl ke waqt kaha mujh se dam-e-KHanjar ne
'ishq' shabash tujhe kis se nibahi ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.