majlis mein ishq ke nahin hai sim-o-zar se rang
majlis mein ishq ke nahin hai sim-o-zar se rang
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
majlis meñ 'ishq ke nahīñ hai sīm-o-zar se rañg
paidā kiyā hai un ne kuchh aur hī hunar se rañg
rañgīnī-e-chaman ko na kar mujh se tū bayāñ
barse hai misl-e-ashk mirī chashm-e-tar se rañg
manzūr hai ki jalne pe dil ko gavāh ho
ye baat maan jaama ko apne sharar se rañg
vo rañg kab hai yaar haqīqat meñ zañg hai
maqbūl-e-dil na ho jo mile dard-e-sar se rañg
parkhe jo us ko aa ke koī jauharī nahīñ
aañsū mere laḌāte haiñ lā’l-o-gohar se rañg
chāhe ki surḳh-rūī-e-kaunain ho nasīb
ai 'ishq' apne chehre ko ḳhūn-e-jigar se rañg
majlis mein 'ishq ke nahin hai sim-o-zar se rang
paida kiya hai un ne kuchh aur hi hunar se rang
rangini-e-chaman ko na kar mujh se tu bayan
barse hai misl-e-ashk meri chashm-e-tar se rang
manzur hai ki jalne pe dil ko gawah ho
ye baat man jama ko apne sharar se rang
wo rang kab hai yar haqiqat mein zang hai
maqbul-e-dil na ho jo mile dard-e-sar se rang
parkhe jo us ko aa ke koi jauhari nahin
aansu mere laDate hain la’l-o-gohar se rang
chahe ki surKH-rui-e-kaunain ho nasib
ai 'ishq' apne chehre ko KHun-e-jigar se rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.