kafir-e-ishq ko yaro nahin islam se kaam
kāfir-e-'ishq ko yaaro nahīñ islām se kaam
gardish-e-chashm se matlab hai nahīñ jaam se kaam
dam ġhanīmat vo samajhtā hai jo yaañ 'āqil hai
hai vo ġhāfil jise āġhāz aur anjām se kaam
husn-e-mutlaq ne muqayyad kiyā taqlīd ke biich
kis tarh dil ko na ho us but-e-ḳhud kaam se kaam
dair-o-kā’ba se sanam tū hī hai maqsūd mujhe
is sabab dil ko nahīñ kufr aur islām se kaam
'ishq ke qatl ko abrū hī tire kaafī haiñ
us ko hargiz nahīñ qātil kisī samsām se kaam
kafir-e-'ishq ko yaro nahin islam se kaam
gardish-e-chashm se matlab hai nahin jam se kaam
dam ghanimat wo samajhta hai jo yan 'aqil hai
hai wo ghafil jise aaghaz aur anjam se kaam
husn-e-mutlaq ne muqayyad kiya taqlid ke bich
kis tarh dil ko na ho us but-e-KHud kaam se kaam
dair-o-ka’ba se sanam tu hi hai maqsud mujhe
is sabab dil ko nahin kufr aur islam se kaam
'ishq ke qatl ko abru hi tere kafi hain
us ko hargiz nahin qatil kisi samsam se kaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.