Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tujhse kya kya kahen ki kya hain hum

Khwaja Ruknuddin Ishq

tujhse kya kya kahen ki kya hain hum

Khwaja Ruknuddin Ishq

MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq

    tujh se kyā kyā kaheñ ki kyā haiñ ham

    al-ġharaz banda-e-ḳhudā haiñ ham

    har tarh se hameñ ġhanīmat jaan

    dard haiñ mehar haiñ vafā haiñ ham

    na salāmun-’alaik hai na payām

    kahne ko tere āshnā haiñ ham

    chāhtā hai tujhe jahāñ saarā

    par unhīñ se miyāñ judā haiñ ham

    tere bandoñ meñ jab hue mash.hūr

    aap ko jo kaheñ bajā haiñ ham

    be-sar-o-pā haiñ aab ke mānind

    'ishq' mil chalne ko balā haiñ ham

    tujh se kya kya kahen ki kya hain hum

    al-gharaz banda-e-KHuda hain hum

    har tarh se hamein ghanimat jaan

    dard hain mehar hain wafa hain hum

    na salamun-’alaik hai na payam

    kahne ko tere aashna hain hum

    chahta hai tujhe jahan sara

    par unhin se miyan juda hain hum

    tere bandon mein jab hue mashhur

    aap ko jo kahen baja hain hum

    be-sar-o-pa hain aab ke manind

    'ishq' mil chalne ko bala hain hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now