dil ko jab pahle hi kho baiThe hain hum
dil ko jab pahle hī kho baiThe haiñ ham
itne tab be-fikr ho baiThe haiñ ham
justujū dil kī tū siine meñ na kar
muddateñ guzrīñ ki ro baiThe haiñ ham
uTTheñ us ke dar se ye mumkin nahīñ
sar ko chāho kaaT lo baiThe haiñ ham
dard-e-dil ko tum suno yā mat suno
daad dil kī do na do baiThe haiñ ham
'ishq meñ sābit qadam rakkhe ḳhudā
jo kuchh ab honī hai ho baiThe haiñ ham
dīn-o-īmāñ aur dil-o-jāñ rā.egāñ
'ishq' kyā kyā apnā kho baiThe haiñ ham
dil ko jab pahle hi kho baiThe hain hum
itne tab be-fikr ho baiThe hain hum
justuju dil ki tu sine mein na kar
muddaten guzrin ki ro baiThe hain hum
uTThen us ke dar se ye mumkin nahin
sar ko chaho kaT lo baiThe hain hum
dard-e-dil ko tum suno ya mat suno
dad dil ki do na do baiThe hain hum
'ishq mein sabit qadam rakkhe KHuda
jo kuchh ab honi hai ho baiThe hain hum
din-o-iman aur dil-o-jaan raegan
'ishq' kya kya apna kho baiThe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.