ishq ka main piya hai jam aql kahan aur main kahan

ishq ka main piya hai jam aql kahan aur main kahan
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
'ishq kā maiñ piyā hai jaam 'aql kahāñ aur maiñ kahāñ
duur huā hai nañg-o-nām 'aql kahāñ aur maiñ kahāñ
'aql to yaañ huī hai dañg hosh kā uḌ gayā hai rañg
sabr mirā huā hai tañg 'aql kahāñ aur maiñ kahāñ
'ishq kī maiñ huā zabāñ 'aql kā phūñkā ḳhānumāñ
hai ye 'ayāñ nahīñ nihāñ 'aql kahāñ aur maiñ kahāñ
kyā kahūñ ab kahāñ huuñ maiñ dekhoge jo jahāñ huuñ maiñ
ā.īna-e-jahāñ huuñ maiñ 'aql kahāñ aur maiñ kahāñ
jaam huuñ yā sharāb huuñ gauhar huuñ yā hubāb huuñ
kyā kahūñ aab aab huuñ 'aql kahāñ aur maiñ kahāñ
mujh se do-chār 'ishq hai sāhib-e-kār 'ishq' hai
hamdam dayār-e-'ishq hai 'aql kahāñ aur maiñ kahāñ
'ishq ka main piya hai jam 'aql kahan aur main kahan
dur hua hai nang-o-nam 'aql kahan aur main kahan
'aql to yan hui hai dang hosh ka uD gaya hai rang
sabr mera hua hai tang 'aql kahan aur main kahan
'ishq ki main hua zaban 'aql ka phunka KHanuman
hai ye 'ayan nahin nihan 'aql kahan aur main kahan
kya kahun ab kahan hun main dekhoge jo jahan hun main
aaina-e-jahan hun main 'aql kahan aur main kahan
jam hun ya sharab hun gauhar hun ya hubab hun
kya kahun aab aab hun 'aql kahan aur main kahan
mujh se do-chaar 'ishq hai sahib-e-kar 'ishq' hai
hamdam dayar-e-'ishq hai 'aql kahan aur main kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.