jitne wo mehrban hote hain
jitne vo mehrbān hote haiñ
utne hī bad-gumān hote haiñ
'evaz-e-jāñ agar mileñ haiñ muft
ḳhūb-rū jān-e-jān hote haiñ
āh-o-nāla ko tū na kar badnām
'āshiqī ke nishān hote haiñ
chauk-o-bāzār meñ jahāñ dekhā
tere mere bayān hote haiñ
bhāgte haiñ jahāñ se zor-āvar
vaañ khaḌe nā-tavān hote haiñ
'ishq' kuchh dil meñ tū burā mat lā
is meñ auroñ ko kaan hote haiñ
jitne wo mehrban hote hain
utne hi bad-guman hote hain
'ewaz-e-jaan agar milen hain muft
KHub-ru jaan-e-jaan hote hain
aah-o-nala ko tu na kar badnam
'ashiqi ke nishan hote hain
chauk-o-bazar mein jahan dekha
tere mere bayan hote hain
bhagte hain jahan se zor-awar
wan khaDe na-tawan hote hain
'ishq' kuchh dil mein tu bura mat la
is mein auron ko kan hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.