baat kahne ki nahin taqat shikayat kya karun
baat kahne ki nahin taqat shikayat kya karun
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
baat kahne kī nahīñ tāqat shikāyat kyā karūñ
'ishq ruḳhsat de to shor-e-hashr ab barpā karūñ
kaj-ravī par us kī aatā hai Dubā duuñ ashk se
dūd-e-āh-e-dil se aur hī maiñ falak paidā karūñ
dīn-o-īmāñ aur dil-o-jāñ rū-numā.ī de chuke
hai rahā kyā jo ḳharīdār us kā ho saudā karūñ
sun ke bāteñ 'aql kī īzā.eñ kyā kyā tū ne diiñ
mujh ko phir to dil na kahiyo jo na maiñ rusvā karūñ
avval-o-āḳhir ko merā 'ishq' kaafī hai mujhe
fikr be-jā hai agar imroz yā fardā karūñ
baat kahne ki nahin taqat shikayat kya karun
'ishq ruKHsat de to shor-e-hashr ab barpa karun
kaj-rawi par us ki aata hai Duba dun ashk se
dud-e-ah-e-dil se aur hi main falak paida karun
din-o-iman aur dil-o-jaan ru-numai de chuke
hai raha kya jo KHaridar us ka ho sauda karun
sun ke baaten 'aql ki izaen kya kya tu ne din
mujh ko phir to dil na kahiyo jo na main ruswa karun
awwal-o-aKHir ko mera 'ishq' kafi hai mujhe
fikr be-ja hai agar imroz ya farda karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.