Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

koi but kahte hain aur koi KHuda kahte hain

Khwaja Ruknuddin Ishq

koi but kahte hain aur koi KHuda kahte hain

Khwaja Ruknuddin Ishq

koī but kahte haiñ aur koī ḳhudā kahte haiñ

ham se jo pūchho to donoñ se judā kahte haiñ

dard se laḳht-e-jigar āñkhoñ meñ kahte haiñ

hañs ke kahtā hai tamarrud use kyā kahte haiñ

dil ke dene ke barābar koī taqsīr bhī hai

jo mujhe kahte haiñ yaaro so bajā kahte haiñ

baat hai ek samajhne meñ tafāvut Tuk hai

kufr-o-islām ko nādāñ judā kahte haiñ

ek din dard se betāb ho us se ye kahā

is taġhāful ko ġhalat-kār vafā kahte haiñ

jis ke dil ko lagī ho so to samjhe varna

'ishq' ko koī burā koī bhalā kahte haiñ

koi but kahte hain aur koi KHuda kahte hain

hum se jo puchho to donon se juda kahte hain

dard se laKHt-e-jigar aankhon mein la kahte hain

hans ke kahta hai tamarrud use kya kahte hain

dil ke dene ke barabar koi taqsir bhi hai

jo mujhe kahte hain yaro so baja kahte hain

baat hai ek samajhne mein tafawut Tuk hai

kufr-o-islam ko nadan hi juda kahte hain

ek din dard se betab ho us se ye kaha

is taghaful ko ghalat-kar wafa kahte hain

jis ke dil ko lagi ho so hi to samjhe warna

'ishq' ko koi bura koi bhala kahte hain

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now