aah phir tujhko ai be-rahm KHabar karte hain
aah phir tujhko ai be-rahm KHabar karte hain
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
aah phir tujh ko ai be-rahm ḳhabar karte haiñ
ya'anī aa jā dam-e-āḳhir hai safar karte haiñ
apne aañsū kā hī tūfān nazar aatā hai
hālat-e-girya meñ jis samt nazar karte haiñ
vasl aur hijr ke 'ālam ko na pūchho ham se
Darte Darte kabhī us samt guzar karte haiñ
rañj sau tarh ke 'āshiq ko agar hoveñ nasīb
'ishq-bāzī meñ vo kab chashm ko tar karte haiñ
dekhiye gauhar-e-maqsūd ko kab pahuñche 'ishq'
'umr hai guzrī ki ham ḳhaak basar karte haiñ
aah phir tujh ko ai be-rahm KHabar karte hain
ya'ani aa ja dam-e-aKHir hai safar karte hain
apne aansu ka hi tufan nazar aata hai
haalat-e-girya mein jis samt nazar karte hain
wasl aur hijr ke 'alam ko na puchho hum se
Darte Darte kabhi us samt guzar karte hain
ranj sau tarh ke 'ashiq ko agar howen nasib
'ishq-bazi mein wo kab chashm ko tar karte hain
dekhiye gauhar-e-maqsud ko kab pahunche 'ishq'
'umr hai guzri ki hum KHak basar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.