go miyan hum ghazab ke mare hain
go miyāñ ham ġhazab ke maare haiñ
par bhale yā bure tumhāre haiñ
daaġh kahiye inheñ ma’āz-allāh
falak-e-dil ke ye sitāre haiñ
ḳhalq meñ ham haiñ ḳhalq ham meñ hai
misl-e-dil go ki ham kināre haiñ
ham tum haiñ ek yaar kahne ko
tum hamāre ho ham tumhāre haiñ
kis tarh tujh se vo uThāveñ haath
jo zabāñ tujh se yaar haare haiñ
mire dar se unheñ uThāo mat
'ishq' se ye bhī ġham ke maare haiñ
go miyan hum ghazab ke mare hain
par bhale ya bure tumhaare hain
dagh kahiye inhen ma’az-allah
falak-e-dil ke ye sitare hain
KHalq mein hum hain KHalq hum mein hai
misl-e-dil go ki hum kinare hain
hum tum hain ek yar kahne ko
tum hamare ho hum tumhaare hain
kis tarh tujh se wo uThawen hath
jo zaban tujh se yar haare hain
mere dar se unhen uThao mat
'ishq' se ye bhi gham ke mare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.