bin tere ye dard-o-gham kis se kahen
bin tire ye dard-o-ġham kis se kaheñ
tū nahīñ suntā hai ham kis se kaheñ
ek do bāteñ jo hoñ koī sune
dil kī ḳhvāhish dam-ba-dam kis se kaheñ
chāhtā hai tū agar mujh se na mil
tū hī kah ye ab sitam kis se kaheñ
beshtar hai jaur aur hai mehar kam
aah dil ye besh-o-kam kis se kaheñ
dil samajhtā hī nahīñ dukh ko tire
'ishq' bin ai chashm-e-nam kis se kaheñ
bin tere ye dard-o-gham kis se kahen
tu nahin sunta hai hum kis se kahen
ek do baaten jo hon koi sune
dil ki KHwahish dam-ba-dam kis se kahen
chahta hai tu agar mujh se na mil
tu hi kah ye ab sitam kis se kahen
beshtar hai jaur aur hai mehar kam
aah dil ye besh-o-kam kis se kahen
dil samajhta hi nahin dukh ko tere
'ishq' bin ai chashm-e-nam kis se kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.