na hum kaba ko jate hain na dair hi mein bhaTakte hain
na hum kaba ko jate hain na dair hi mein bhaTakte hain
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
na ham ka'aba ko jaate haiñ na dair hī meñ bhaTakte haiñ
jahāñ tum paañv ko rakhte ho vaañ ham sar paTakte haiñ
falak Tuk haath uThā apnā jafā se pīstā hai kyuuñ
hue haiñ ḳhaak to bhī terī āñkhoñ meñ khaTakte haiñ
butoñ kī sar-kashī aur ḳhāksārī apnī kyā kahiye
jo lapToñ gard ho dāman meñ dāman ko jhaTakte haiñ
dil-e-pur-ābla ko DhūñDhtā zulfoñ tilak pahuñchā
hazāroñ ḳhosha-e-añgūr se dekhe laTakte haiñ
vo aur hī shaḳhs haiñ jo ḳhauf kī bātoñ se Darte haiñ
unheñ jumbish nahīñ aatī jahāñ 'āshiq aTakte haiñ
ba-rañg-e-māh-o-kHor din-rāt ghar-ghar aate jaate haiñ
jahāñ sunte haiñ nām-e-'ishq vaañ ḳhūbāñ ThiTakte haiñ
na hum ka'aba ko jate hain na dair hi mein bhaTakte hain
jahan tum panw ko rakhte ho wan hum sar paTakte hain
falak Tuk hath uTha apna jafa se pista hai kyun
hue hain KHak to bhi teri aankhon mein khaTakte hain
buton ki sar-kashi aur KHaksari apni kya kahiye
jo lapTon gard ho daman mein daman ko jhaTakte hain
dil-e-pur-abla ko DhunDhta zulfon tilak pahuncha
hazaron KHosha-e-angur se dekhe laTakte hain
wo aur hi shaKHs hain jo KHauf ki baaton se Darte hain
unhen jumbish nahin aati jahan 'ashiq aTakte hain
ba-rang-e-mah-o-kHor din-raat ghar-ghar aate jate hain
jahan sunte hain nam-e-'ishq wan KHuban ThiTakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.