tere wasl mein lutf kya kya na dekha
tire vasl meñ lutf kyā kyā na dekhā
na dekhā so dekhā jo dekhā na dekhā
ḳhudā jaane kyā muñh-bharā.ī dī us ko
lab-e-zaḳhm-e-dil jo kabhī vā na dekhā
maiñ ro-ro ke aañsū se kī shīsha-bāzī
ye hañs-hañs ke tū ne tamāsha na dekhā
karīmī tirī jab se samjhā huuñ dil meñ
kabhī fikr-e-imroz fardā na dekhā
ḳhudā kī ḳhudā.ī hai qaa.em pe tujh sā
na dekhā na dekhā na dekhā na dekhā
sabhī dā’va-e-'ishq rakhte haiñ lekin
koī 'ishq' sā ham ne rusvā na dekhā
tere wasl mein lutf kya kya na dekha
na dekha so dekha jo dekha na dekha
KHuda jaane kya munh-bharai di us ko
lab-e-zaKHm-e-dil jo kabhi wa na dekha
main ro-ro ke aansu se ki shisha-bazi
ye hans-hans ke tu ne tamasha na dekha
karimi teri jab se samjha hun dil mein
kabhi fikr-e-imroz farda na dekha
KHuda ki KHudai hai qaem pe tujh sa
na dekha na dekha na dekha na dekha
sabhi da’wa-e-'ishq rakhte hain lekin
koi 'ishq' sa hum ne ruswa na dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.