zindagi ki bahaar tujhse hai
zindagī kī bahār tujh se hai
jo kuchh hai mujh ko yaar tujh se hai
haath se us ke ek dam na chale
ye gila teġh-e-yār tujh se hai
kisī se 'ishq ko nahīñ matlab
ek ho yā hazār tujh se hai
dard-e-dil kā na pūchh mujh se sabab
ai taġhāful-shi’ār tujh se hai
haath mere haiñ muft meñ badnām
jeb ye tār-tār tujh se hai
aur kī baat to ḳhudā jaane
'ishq kā kārobār tujh se hai
zindagi ki bahaar tujh se hai
jo kuchh hai mujh ko yar tujh se hai
hath se us ke ek dam na chale
ye gila tegh-e-yar tujh se hai
kisi se 'ishq ko nahin matlab
ek ho ya hazar tujh se hai
dard-e-dil ka na puchh mujh se sabab
ai taghaful-shi’ar tujh se hai
hath mere hain muft mein badnam
jeb ye tar-tar tujh se hai
aur ki baat to KHuda jaane
'ishq ka karobar tujh se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.