kaba mein phir dair mila tha makan mujhe
kā'ba meñ phir dair milā thā makāñ mujhe
laayā hai 'ishq khīñch kahāñ se kahāñ mujhe
'ālam ke nek-o-bad se kisī ko nahīñ hai kaam
detī nahīñ hai chain ye merī zabāñ mujhe
kyā zindagī jo yaar judā hue yaar se
vaañ tujh ko taa’n karte haiñ aur yaar yaañ mujhe
aage to qadr-dānī pe mushfiq mirī na thī
hañs hañs ke ab jo kahte ho tum mehrbāñ mujhe
ranj-e-firāq-o-sorish-e-dil aur kHayāl-e-rashk
juz vasl chain kyuuñ ke ho ai dostāñ mujhe
ye aarzū hai merī ki ai 'ishq pesh-e-marg
apnā nishāñ to dījiyo ai be-nishāñ mujhe
ka'ba mein phir dair mila tha makan mujhe
laya hai 'ishq khinch kahan se kahan mujhe
'alam ke nek-o-bad se kisi ko nahin hai kaam
deti nahin hai chain ye meri zaban mujhe
kya zindagi jo yar juda hue yar se
wan tujh ko ta’n karte hain aur yar yan mujhe
aage to qadr-dani pe mushfiq meri na thi
hans hans ke ab jo kahte ho tum mehrban mujhe
ranj-e-firaq-o-sorish-e-dil aur kHayal-e-rashk
juz wasl chain kyun ke ho ai dostan mujhe
ye aarzu hai meri ki ai 'ishq pesh-e-marg
apna nishan to dijiyo ai be-nishan mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.