dil-e-diwana agar qabil-e-didar na tha
dil-e-dīvāna agar qābil-e-dīdār na thā
un shikastoñ ke bhī laa.eq to mire yaar na thā
zard in āñkhoñ ke aage nahīñ nargis ye faqat
kaun ḳhush-chashm tirī chashm kā bīmār na thā
maiñ to dīvāna na thā DhūñDhtā jo jhaaḌ pahāḌ
kaun sī shai thī jahāñ sho'la-e-dīdār na thā
nushkHa-e-vahdat-o-kasrat kā tafāvut samjhā
ḳhuub dekhā to ba-juz parda-e-pindār na thā
kis jafā-kār ko dil tū ne diyā ġhaur to kar
aur duniyā meñ magar koī tarh-dār na thā
saaf shikastī kā bayāñ us ke kahāñ tak kiije
tiir aisā koī thā siina ke jo paar na thā
'ishq' hī ham ko satātā hai hamārā yaaro
varna mā'shūq kabhī dar pai āzār na thā
dil-e-diwana agar qabil-e-didar na tha
un shikaston ke bhi laeq to mere yar na tha
zard in aankhon ke aage nahin nargis ye faqat
kaun KHush-chashm teri chashm ka bimar na tha
main to diwana na tha DhunDhta jo jhaD pahaD
kaun si shai thi jahan sho'la-e-didar na tha
nushkHa-e-wahdat-o-kasrat ka tafawut samjha
KHub dekha to ba-juz parda-e-pindar na tha
kis jafa-kar ko dil tu ne diya ghaur to kar
aur duniya mein magar koi tarh-dar na tha
saf shikasti ka bayan us ke kahan tak kije
tir aisa koi tha sina ke jo par na tha
'ishq' hi hum ko satata hai hamara yaro
warna ma'shuq kabhi dar pai aazar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.