zahe nasib haram-o-halal se waqif
zahe nasīb harām-o-halāl se vāqif
merā shu.ūr hai duniyā kī chaal se vāqif
libās-e-jism ko anjām kī ḳhabar hī nahīñ
hai merī ruuh magar intiqāl se vāqif
takbburāna ye lahja yahī batātā hai
terā uruuj hai tere zavāl se vāqif
misāl auroñ kī deñge vo kyuuñ zamāne ko
jo mustafā kī haiñ har ik misāl se vāqif
usī ne bhar diye kaase meñ tanz ke jumle
vo jab ki thā mere dast-e-savāl se vāqif
ye qahqahoñ ke musāfir bhī umr bhar na rahe
kisī ke ġham na rañj-o-malāl se vāqif
zarūratoñ ko maiñ paḌhtā thā jis ke chehre se
vo ho sakā na kabhī mere haal se vāqif
maiñ is liye bhī to 'shāyāñ' sabr karatā huuñ
ḳhudā kī zaat hai mere ḳhayāl se vāqif
zahe nasib haram-o-halal se waqif
mera shuur hai duniya ki chaal se waqif
libas-e-jism ko anjam ki KHabar hi nahin
hai meri ruh magar intiqal se waqif
takbburana ye lahja yahi batata hai
tera uruj hai tere zawal se waqif
misal auron ki denge wo kyun zamane ko
jo mustafa ki hain har ek misal se waqif
usi ne bhar diye kase mein tanz ke jumle
wo jab ki tha mere dast-e-sawal se waqif
ye qahqahon ke musafir bhi umr bhar na rahe
kisi ke gham na ranj-o-malal se waqif
zaruraton ko main paDhta tha jis ke chehre se
wo ho saka na kabhi mere haal se waqif
main is liye bhi to 'shayan' sabr karata hun
KHuda ki zat hai mere KHayal se waqif
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.