na yahan koi ruka hai na yahan pe hum rahainge
na yahan koi ruka hai na yahan pe hum rahainge
Khwaja Shayan Hasan
MORE BYKhwaja Shayan Hasan
na yahāñ koī rukā hai na yahāñ pe ham rahaiñge
na ye zindagī rahegī na ye pech-o-ḳham raheñge
agar ham amal se apne na badal sake zamāna
to diloñ meñ muddatoñ tak yahī ranj-o-ġham rahaiñge
ye na.e na.e musāfir kahāñ baiTh jaa.eñ thak kar
jo purāne ham-safar haiñ vahī dam-qadam raheñge
ye jo āshnā-e-haq haiñ nahīñ Darte vo qazā se
yūñhī sar qalam the un ke yūñhī sar qalam rahaiñge
ye sanam haiñ shaḳhsiyat ke inheñ toḌ Daalo varna
the zehn meñ nasl-e-nau ke ye yūñhī sanam rahaiñge
the jo zaḳhm ḳhanjaroñ ke vo kabhī ke bhar chuke haiñ
vo jo zaḳhm tanz ke haiñ vo sadā raqam rahaiñge
vo jo ik ḳhudā hai apnā 'shāyāñ' apne sar to
usī dar pe ḳham rahe haiñ usī dar pe ḳham rahaiñge
na yahan koi ruka hai na yahan pe hum rahainge
na ye zindagi rahegi na ye pech-o-KHam rahenge
agar hum amal se apne na badal sake zamana
to dilon mein muddaton tak yahi ranj-o-gham rahainge
ye nae nae musafir kahan baiTh jaen thak kar
jo purane ham-safar hain wahi dam-qadam rahenge
ye jo aashna-e-haq hain nahin Darte wo qaza se
yunhi sar qalam the un ke yunhi sar qalam rahainge
ye sanam hain shaKHsiyat ke inhen toD Dalo warna
the zehn mein nasl-e-nau ke ye yunhi sanam rahainge
the jo zaKHm KHanjaron ke wo kabhi ke bhar chuke hain
wo jo zaKHm tanz ke hain wo sada raqam rahainge
wo jo ek KHuda hai apna 'shayan' apne sar to
usi dar pe KHam rahe hain usi dar pe KHam rahainge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.