haqiqaton mein tumhin ho tasawwuraat mein tum
haqiqaton mein tumhin ho tasawwuraat mein tum
Khwaja Shayan Hasan
MORE BYKhwaja Shayan Hasan
haqīqatoñ meñ tumhīñ ho tasavvurāt meñ tum
mere qarīb ho itne merī hayāt meñ tum
maiñ manziloñ se bhaTak jā.ūñ ġhair mumkin hai
ho merī ruuh meñ maujūd merī zaat meñ tum
ye gardisheñ mere dāman ko chhū nahīñ saktīñ
mujhe yaqīn hai jab tak ho mere saath meñ tum
talāsh kar ke bhī dekhā nahīñ milā tum sā
vo ek husn-e-mujassam ho kā.enāt meñ tum
tumhārā zikr merī zindagī kā maqsad hai
har ek sher meñ tum ho har ek baat meñ tum
har ek din hai terī justujū terī chāhat
junūn-e-ishq kī shāmil har ek raat meñ tum
tumhāre qurb kā hāsil merī zamānat hai
qazā ke vaqt bhī 'shāyāñ' kī najāt meñ tum
haqiqaton mein tumhin ho tasawwuraat mein tum
mere qarib ho itne meri hayat mein tum
main manzilon se bhaTak jaun ghair mumkin hai
ho meri ruh mein maujud meri zat mein tum
ye gardishen mere daman ko chhu nahin saktin
mujhe yaqin hai jab tak ho mere sath mein tum
talash kar ke bhi dekha nahin mila tum sa
wo ek husn-e-mujassam ho kaenat mein tum
tumhaara zikr meri zindagi ka maqsad hai
har ek sher mein tum ho har ek baat mein tum
har ek din hai teri justuju teri chahat
junun-e-ishq ki shamil har ek raat mein tum
tumhaare qurb ka hasil meri zamanat hai
qaza ke waqt bhi 'shayan' ki najat mein tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.