zaban-o-dil se gae aur jigar se jaan se gae
zabān-o-dil se ga.e aur jigar se jaañ se ga.e
tumhāre ishq meñ jaane kahāñ kahāñ se ga.e
mujhe zamīn kī gahrā.iyoñ meñ DhūñDoge
merī rasā.ī ke pahlū jo āsmāñ se ga.e
ab un guloñ ke mahakne kī kyā tavaqqo.a hai
zarā jo shāḳh se haTte hī gulistāñ se ga.e
vo tanz lauT ke aa.eñ ye ġhair mumkin hai
jo harf harf nikal kar terī zabāñ se ga.e
vo kāmyābī kī masnad ko chhū na paa.e
jo qadam qadam pe zamāne ke imtihāñ se ga.e
jinheñ milā hī nahīñ hai shu.ūr jiine kā
jahāñ meñ rahte hue bhī vo do-jahāñ se ga.e
supurd-e-ḳhāk kiye jin kī ho ga.ī muddat
zehn se mere na vo dil ke āshiyāñ se ga.e
karūñ zabān se 'shāyāñ' kyā sanā un kī
guzar ke ek hī shab meñ jo lā-makāñ se ga.e
zaban-o-dil se gae aur jigar se jaan se gae
tumhaare ishq mein jaane kahan kahan se gae
mujhe zamin ki gahraiyon mein DhunDoge
meri rasai ke pahlu jo aasman se gae
ab un gulon ke mahakne ki kya tawaqqoa hai
zara jo shaKH se haTte hi gulistan se gae
wo tanz lauT ke aaen ye ghair mumkin hai
jo harf harf nikal kar teri zaban se gae
wo kaamyabi ki masnad ko chhu na pae
jo qadam qadam pe zamane ke imtihan se gae
jinhen mila hi nahin hai shuur jine ka
jahan mein rahte hue bhi wo do-jahan se gae
supurd-e-KHak kiye jin ki ho gai muddat
zehn se mere na wo dil ke aashiyan se gae
karun zaban se 'shayan' kya sana un ki
guzar ke ek hi shab mein jo la-makan se gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.