kaise karen hum aaj ke haalat ka gila
kaise kareñ ham aaj ke hālāt kā gila
bāteñ haiñ be-shumār ho kis baat kā gila
shikva hai be-dalīl-sā bārish ko dhuup se
aur dhuup kī zabāñ pe hai barsāt kā gilā
maanā ke har qadam pe hai dushvāriyāñ bahut
achchhā nahīñ hai kījiye har baat kā gilā
is daur-e-inqilāb meñ ḳhud kaam kījiye
kab tak kareñge aap yuuñ māfāt kā gila
is daur-e-inhitāt meñ kyā kyā gila suneñ
karne lage ġhulām hī sādāt kā galā
qātil ko qatl karne kā in.aam kyā milā
maqtūl ke laboñ pe hai be-bāt kā gilā
duniyā meñ kaam hotā hai hosh-o-havās se
tum kar rahe ho aaj bhī jazbāt kā gilā
'shāyān' ham ne soch meñ sadiyāñ guzār diiñ
kuchh log karte rahte haiñ lamhāt kā gilā
kaise karen hum aaj ke haalat ka gila
baaten hain be-shumar ho kis baat ka gila
shikwa hai be-dalil-sa barish ko dhup se
aur dhup ki zaban pe hai barsat ka gila
mana ke har qadam pe hai dushwariyan bahut
achchha nahin hai kijiye har baat ka gila
is daur-e-inqilab mein KHud kaam kijiye
kab tak karenge aap yun mafat ka gila
is daur-e-inhitat mein kya kya gila sunen
karne lage ghulam hi sadat ka gala
qatil ko qatl karne ka inam kya mila
maqtul ke labon pe hai be-baat ka gila
duniya mein kaam hota hai hosh-o-hawas se
tum kar rahe ho aaj bhi jazbaat ka gila
'shayan' hum ne soch mein sadiyan guzar din
kuchh log karte rahte hain lamhat ka gila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.