wafa ki rah mein luTte hain qafile kaise
vafā kī raah meñ luTte haiñ qāfile kaise
vo ham se toḌ ke jaate haiñ silsile kaise
kabhī bhī ham se shikāyat nahīñ rahī un ko
to phir ye dūriyāñ kaisī haiñ fāsle kaise
tum apne dil meñ kisī kā ḳhayāl mat paalo
mire raqīb ye dete haiñ mashvare kaise
na din meñ chain na rātoñ meñ niiñd kā pahlū
rah-e-firāq meñ aate haiñ marhale kaise
amīr-e-shahr bhī zālim se ho gayā mar'ūb
hamārī qaum ke hal hoñge mas.ale kaise
ham ahl-e-dil haiñ nasīhat nahīñ sunā karte
ham ahal-e-'aql se rakkheñ bhī rābte kaise
hameñ to 'ishq meñ luTnā thā luT ga.e 'shāyān'
kamāl-e-husn baḌhātā hai hausle kaise
wafa ki rah mein luTte hain qafile kaise
wo hum se toD ke jate hain silsile kaise
kabhi bhi hum se shikayat nahin rahi un ko
to phir ye duriyan kaisi hain fasle kaise
tum apne dil mein kisi ka KHayal mat palo
mere raqib ye dete hain mashware kaise
na din mein chain na raaton mein nind ka pahlu
rah-e-firaq mein aate hain marhale kaise
amir-e-shahr bhi zalim se ho gaya mar'ub
hamari qaum ke hal honge masale kaise
hum ahl-e-dil hain nasihat nahin suna karte
hum ahal-e-'aql se rakkhen bhi rabte kaise
hamein to 'ishq mein luTna tha luT gae 'shayan'
kamal-e-husn baDhata hai hausle kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.