tu meri jaan hai amanat hai
tū mirī jaan hai amānat hai
tujh se duurī mirī halākat hai
ḳhvāb āñkhoñ se ho ga.e mā'dūm
phir tirī diid kī zarūrat hai
tere bin kuchh bhalā nahīñ lagtā
log kahte haiñ ye mohabbat hai
zindagī tere saath ho varna
mar hī jaane meñ dil kī rāhat hai
dāstān vafā suno merī
'ishq chāhat ḳhulūs hasrat hai
mujh se kījiyo na ġhair kī bāteñ
vo mirī āḳhirī mohabbat hai
ab to 'shāyān' khol de āñkheñ
tere aage vafā kī mūrat hai
tu meri jaan hai amanat hai
tujh se duri meri halakat hai
KHwab aankhon se ho gae ma'dum
phir teri did ki zarurat hai
tere bin kuchh bhala nahin lagta
log kahte hain ye mohabbat hai
zindagi tere sath ho warna
mar hi jaane mein dil ki rahat hai
dastan wafa suno meri
'ishq chahat KHulus hasrat hai
mujh se kijiyo na ghair ki baaten
wo meri aaKHiri mohabbat hai
ab to 'shayan' khol de aankhen
tere aage wafa ki murat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.