jaise mariz-e-gham koi ho chaara-gar ke samne
jaise mariz-e-gham koi ho chaara-gar ke samne
Khwaja Shayan Hasan
MORE BYKhwaja Shayan Hasan
jaise marīz-e-ġham koī ho chāra-gar ke sāmne
maiñ tujh ko dekhtā rahūñ tū ho nazar ke sāmne
mahrūm-e-do-jahāñ hai vo jo tujh se be-ḳhabar huā
apnī ḳhabar nahīñ hai kuchh terī ḳhabar ke sāmne
jab tak haiñ jaarī dhaḌkaneñ jab tak ravāñ hai merā dam
tab tak merā qayām hai tere hī dar ke sāmne
jo bhī haiñ mere dil meñ ġham tujh ko sunā.ūñ maiñ sanam
tere sivā na ho koī dīda-e-tar ke sāmne
merī ye bebasī miTe merī ye be-kalī miTe
tū bhī agar ho jalva-gar dard-e-jigar ke sāmne
terā sarāpā hai haram sajde karūñ nigāh se
terā jo pā-e-nāz bhī aa jaa.e sar ke sāmne
dekhūñ fanā ke baa'd bhī us ko sukūn-e-jāñ hai jo
'shāyān' terī qabr ho us ke hī ghar ke sāmne
jaise mariz-e-gham koi ho chaara-gar ke samne
main tujh ko dekhta rahun tu ho nazar ke samne
mahrum-e-do-jahan hai wo jo tujh se be-KHabar hua
apni KHabar nahin hai kuchh teri KHabar ke samne
jab tak hain jari dhaDkanen jab tak rawan hai mera dam
tab tak mera qayam hai tere hi dar ke samne
jo bhi hain mere dil mein gham tujh ko sunaun main sanam
tere siwa na ho koi dida-e-tar ke samne
meri ye bebasi miTe meri ye be-kali miTe
tu bhi agar ho jalwa-gar dard-e-jigar ke samne
tera sarapa hai haram sajde karun nigah se
tera jo pa-e-naz bhi aa jae sar ke samne
dekhun fana ke ba'd bhi us ko sukun-e-jaan hai jo
'shayan' teri qabr ho us ke hi ghar ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.