husn-e-sirat rakho wafa rakkho
husn-e-sīrat rakho vafā rakkho
nek logoñ se rābta rakkho
mushkileñ bhī zarūr hal hoñgī
apne mālik kā aasrā rakkho
kaun dast-e-savāl le aa.e
tum saḳhāvat kā dar khulā rakkho
mīThī bolī se kaam bantā hai
apne lahje ko ras ghulā rakkho
jo tumheñ bhuul jaa.eñ un se bhī
milne-julne kā silsila rakkho
bach ke nafrat ke un añdheroñ se
ghar meñ ulfat kā ik diyā rakkho
tā ki bātil na sar uThā paa.e
apnī tāqat kā dabdaba rakkho
zer-e-ḳhanjar bhī hukm hai 'shāyān'
lab pe tazkīr-e-lā-ilāh rakkho
husn-e-sirat rakho wafa rakkho
nek logon se rabta rakkho
mushkilen bhi zarur hal hongi
apne malik ka aasra rakkho
kaun dast-e-sawal le aae
tum saKHawat ka dar khula rakkho
miThi boli se kaam banta hai
apne lahje ko ras ghula rakkho
jo tumhein bhul jaen un se bhi
milne-julne ka silsila rakkho
bach ke nafrat ke un andheron se
ghar mein ulfat ka ek diya rakkho
ta ki baatil na sar uTha pae
apni taqat ka dabdaba rakkho
zer-e-KHanjar bhi hukm hai 'shayan'
lab pe tazkir-e-la-ilah rakkho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.