tere hijr ka ye sila mile mujhe to nahin to KHuda mile

tere hijr ka ye sila mile mujhe to nahin to KHuda mile
Khwaja Shayan Hasan
MORE BYKhwaja Shayan Hasan
tire hijr kā ye sila mile mujhe to nahīñ to ḳhudā mile
jo sanam mile to sanam mile jo ḳhudā mile to ḳhudā mile
ise rāh-e-haq pe chalā diyā use rāh-e-haq se haTā diyā
ye ḳhudā kī marzī kī baat hai kise kyā vo de kise kyā mile
kise māl-o-zar se navāz de kise faqr-o-fāqe pe Daal de
ye usī ke dar ke haiñ faisle usī dar se sab ko milā mile
yahī rut hai saare jahān kī yahī baat us ne bayān kī
jo vafā karo to vafā mile jo daġhā karo to daġhā mile
jise dil kī baat batā.ī thī jise raah shab meñ dikhā.ī thī
vahī mujh se bichhaḌ ke chalā gayā use ab na kisī se vafā mile
koī naam tak na batā sake koī raah tak na dikhā sake
vo jo aa.e kal mujhe DhūñDne na dishā mile na pitā mile
hai 'hasan' maqām-e-tashakkurī jo milī hai dil kī tavañgarī
use ḳhālī haath na bhejiye jo kisī kī dar pe sadā mile
tere hijr ka ye sila mile mujhe to nahin to KHuda mile
jo sanam mile to sanam mile jo KHuda mile to KHuda mile
ise rah-e-haq pe chala diya use rah-e-haq se haTa diya
ye KHuda ki marzi ki baat hai kise kya wo de kise kya mile
kise mal-o-zar se nawaz de kise faqr-o-faqe pe Dal de
ye usi ke dar ke hain faisle usi dar se sab ko mila mile
yahi rut hai sare jahan ki yahi baat us ne bayan ki
jo wafa karo to wafa mile jo dagha karo to dagha mile
jise dil ki baat batai thi jise rah shab mein dikhai thi
wahi mujh se bichhaD ke chala gaya use ab na kisi se wafa mile
koi nam tak na bata sake koi rah tak na dikha sake
wo jo aae kal mujhe DhunDne na disha mile na pita mile
hai 'hasan' maqam-e-tashakkuri jo mili hai dil ki tawangari
use KHali hath na bhejiye jo kisi ki dar pe sada mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.