mere saqiya mujhe tham le mujhe hosh hai na KHayal hai
mere saqiya mujhe tham le mujhe hosh hai na KHayal hai
Khwaja Shayan Hasan
MORE BYKhwaja Shayan Hasan
mire sāqiyā mujhe thaam le mujhe hosh hai na ḳhayāl hai
ye sharāb aisī sharāb hai ki piyo to piinā halāl hai
yahī dil-jaloñ kī hai ḳhairiyat yahī ahl-e-'ishq kā haal hai
jo nahīñ milā to gila nahīñ jo milā hai us kā malāl hai
mujhe aisī jām-e-sharāb de ki nasha ho jis kā hayāt bhar
ye kahā hai sun ke raqīb ne tire mai-kade kā zavāl hai
mirā muqtazā mujhe mil gayā mujhe aur kuchh nahīñ chāhiye
use maiñ milā mujhe vo milā mirī 'āshiqī bhī kamāl hai
tujhe kyā patā hai namāz kā tujhe kyā salīqa-e-saum hai
jo nahīñ paḌhī vo namāz thī jo paḌhī ga.ī so ḳhayāl hai
jo haram meñ thā sanam-āshnā use dair meñ hai ḳhudā milā
ye 'hasan' tumhārā visāl hai ki kisī nazar kā kamāl hai
mere saqiya mujhe tham le mujhe hosh hai na KHayal hai
ye sharab aisi sharab hai ki piyo to pina halal hai
yahi dil-jalon ki hai KHairiyat yahi ahl-e-'ishq ka haal hai
jo nahin mila to gila nahin jo mila hai us ka malal hai
mujhe aisi jam-e-sharab de ki nasha ho jis ka hayat bhar
ye kaha hai sun ke raqib ne tere mai-kade ka zawal hai
mera muqtaza mujhe mil gaya mujhe aur kuchh nahin chahiye
use main mila mujhe wo mila meri 'ashiqi bhi kamal hai
tujhe kya pata hai namaz ka tujhe kya saliqa-e-saum hai
jo nahin paDhi wo namaz thi jo paDhi gai so KHayal hai
jo haram mein tha sanam-ashna use dair mein hai KHuda mila
ye 'hasan' tumhaara visal hai ki kisi nazar ka kamal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.