ab to wafa ke nam ka charcha nahin raha
ab to vafā ke naam kā charchā nahīñ rahā
apnā thā jo zamāne meñ apnā nahīñ rahā
dekhā jo ik za.iif kī lāchārgī kā haal
mujh ko mire nasīb kā shikva nahīñ rahā
vā'de hazār kījiye aur bhuul jā.iye
vā'doñ pe ab kisī ke bharosā nahīñ rahā
tū ne bhī mujh ġharīb ko dil se bhulā diyā
mujh ko bhī tere 'ishq kā sadma nahīñ rahā
sajde meñ sar hai aur ḳhayāl-e-jahān-e-yār
yā'nī ki ab ḳhushū’ kā sajda nahīñ rahā
vo ruuTh kar gayā hai to rūThī hai kā.ināt
lagtā hai ab to koī hamārā nahīñ rahā
'shāyān' jis ko raaz batā.eñ to chup rahe
koī bhī is jahān meñ aisā nahīñ rahā
ab to wafa ke nam ka charcha nahin raha
apna tha jo zamane mein apna nahin raha
dekha jo ek zaif ki lachaargi ka haal
mujh ko mere nasib ka shikwa nahin raha
wa'de hazar kijiye aur bhul jaiye
wa'don pe ab kisi ke bharosa nahin raha
tu ne bhi mujh gharib ko dil se bhula diya
mujh ko bhi tere 'ishq ka sadma nahin raha
sajde mein sar hai aur KHayal-e-jahan-e-yar
ya'ni ki ab KHushu’ ka sajda nahin raha
wo ruTh kar gaya hai to ruThi hai kainat
lagta hai ab to koi hamara nahin raha
'shayan' jis ko raaz bataen to chup rahe
koi bhi is jahan mein aisa nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.