hai jahan ke rang-o-bu se tera husn aashkara
hai jahāñ ke rañg-o-bū se tirā husn āshkārā
tire dam se hī munavvar hai falak kā ye nazāra
ki tire jamāl-e-rukH kī tābāniyoñ ko le kar
koī chāñd ban gayā hai koī ban gayā sitāra
tujhe sāmne biThā kar karūñ maiñ nigāh raushan
to mire junūñ kā hāsil mire 'ishq kā kināra
tujhe dekh le jo 'āshiq vo kahāñ kisī ko dekhe
tū hasīn is qadar hai tū jahāñ meñ itnā pyārā
tirī justujū ko le kar maiñ bhaTak rahā thā kab se
ye tirī karam-navāzī mujhe de diyā sahārā
mujhe kyā ġharaz kisī se maiñ tirā marīz-e-ġham huuñ
mirī samt ik nazar ho mirā dil hai pāra-pāra
vo kahe to mujh ko 'shāyāñ' karūñ ḳhud ko us pe qurbāñ
maiñ ye jaan nazr kar duuñ vo kare agar ishāra
hai jahan ke rang-o-bu se tera husn aashkara
tere dam se hi munawwar hai falak ka ye nazara
ki tere jamal-e-rukH ki tabaniyon ko le kar
koi chand ban gaya hai koi ban gaya sitara
tujhe samne biTha kar karun main nigah raushan
to mere junun ka hasil mere 'ishq ka kinara
tujhe dekh le jo 'ashiq wo kahan kisi ko dekhe
tu hasin is qadar hai tu jahan mein itna pyara
teri justuju ko le kar main bhaTak raha tha kab se
ye teri karam-nawazi mujhe de diya sahaara
mujhe kya gharaz kisi se main tera mariz-e-gham hun
meri samt ek nazar ho mera dil hai para-para
wo kahe to mujh ko 'shayan' karun KHud ko us pe qurban
main ye jaan nazr kar dun wo kare agar ishaara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.