jo dil nashad ho tum se lage to shad ho jae
jo dil nāshād ho tum se lage to shaad ho jaa.e
jo tum se 'ishq kar baiThe to phir ābād ho jaa.e
jo tum se duur hai āzād ho kar bhī muqayyad hai
jise tum qaid kar lo bas vahī āzād ho jaa.e
vo shāhoñ ke mahal meñ DhūñDhte haiñ ’izzat-o-rutba
tirī chaukhaT pe jo aa jaa.e vo dil-shād ho jaa.e
nigāh-e-yār kī tāsīr kā kyā ḳhuub jalva hai
tumhārā ḳhosha-chīñ bhī mulk kā ustād ho jaa.e
vo dil jis meñ junūñ ho shauq ho lazzat ho duniyā ho
vo dil tum se lage to maḳhzan-e-aurād ho jaa.e
jo un ke dar pe aa kar raqs karatā hai vo dīvāna
piye jab 'ishq kī mai sāhib-e-irshād ho jaa.e
yahāñ par 'ishq kī manzil baḌī mushkil se miltī hai
koī majnūñ koī rāñjhā koī farhād ho jaa.e
'hasan' merī tamannā hai ki maiñ bhī maiñ na rah jā.ūñ
mirā dil dil na ban paa.e to phir barbād ho jaa.e
jo dil nashad ho tum se lage to shad ho jae
jo tum se 'ishq kar baiThe to phir aabaad ho jae
jo tum se dur hai aazad ho kar bhi muqayyad hai
jise tum qaid kar lo bas wahi aazad ho jae
wo shahon ke mahal mein DhunDhte hain ’izzat-o-rutba
teri chaukhaT pe jo aa jae wo dil-shad ho jae
nigah-e-yar ki tasir ka kya KHub jalwa hai
tumhaara KHosha-chin bhi mulk ka ustad ho jae
wo dil jis mein junun ho shauq ho lazzat ho duniya ho
wo dil tum se lage to maKHzan-e-aurad ho jae
jo un ke dar pe aa kar raqs karata hai wo diwana
piye jab 'ishq ki mai sahib-e-irshad ho jae
yahan par 'ishq ki manzil baDi mushkil se milti hai
koi majnun koi ranjha koi farhad ho jae
'hasan' meri tamanna hai ki main bhi main na rah jaun
mera dil dil na ban pae to phir barbaad ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.