mizaj barham KHayal mudgham sukun ghaarat wajh tumhi ho
mizaj barham KHayal mudgham sukun ghaarat wajh tumhi ho
Khwaja Shayan Hasan
MORE BYKhwaja Shayan Hasan
mizāj barham ḳhayāl mudġham sukūn ġhārat vaj.h tumhī ho
visāl maqsad firāq hāsil alam musībat vaj.h tumhī ho
udaas sub.heñ 'azāb rāteñ balā kī bāteñ ġhazab ke sapne
'azāb hālat shabāb aafat ḳharāb qismat vaj.h tumhī ho
gulāb lahja hasīñ tabassum balā kī āñkheñ kahāñ se lā.ūñ
surūr-o-farhat tumheñ muyassar mujhe hai diqqat vaj.h tumhī ho
hayāt bojhal mamāt mushkil sifāt 'aarī qiyās be-dam
havās be-ḳhud nishāt ġhā.eb 'ajab hai hālat vaj.h tumhī ho
firāq chhoḌo visāl kar lo ġharīb kā kuchh ḳhayāl kar lo
ujaaḌ bastī na shor-o-mastī na koī jalvat vaj.h tumhī ho
chaman meñ raunaq fazā meñ ḳhushbū havā meñ huluvvat tumhī se thī kal
ḳhamosh gulshan sharār mausam fazā meñ shiddat vaj.h tumhī ho
sukūn chāhūñ qarār māñgūñ maiñ ulfatoñ kā hisār māñgūñ
yahī to 'shāyāñ' dil lagī hai agar hai furqat vaj.h tumhī ho
mizaj barham KHayal mudgham sukun ghaarat wajh tumhi ho
visal maqsad firaq hasil alam musibat wajh tumhi ho
udas subhen 'azab raaten bala ki baaten ghazab ke sapne
'azab haalat shabab aafat KHarab qismat wajh tumhi ho
gulab lahja hasin tabassum bala ki aankhen kahan se laun
surur-o-farhat tumhein muyassar mujhe hai diqqat wajh tumhi ho
hayat bojhal mamat mushkil sifat 'ari qiyas be-dam
hawas be-KHud nishat ghaeb 'ajab hai haalat wajh tumhi ho
firaq chhoDo visal kar lo gharib ka kuchh KHayal kar lo
ujaD basti na shor-o-masti na koi jalwat wajh tumhi ho
chaman mein raunaq faza mein KHushbu hawa mein huluwwat tumhi se thi kal
KHamosh gulshan sharar mausam faza mein shiddat wajh tumhi ho
sukun chahun qarar mangun main ulfaton ka hisar mangun
yahi to 'shayan' dil lagi hai agar hai furqat wajh tumhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.