meri dhaDkanon mein basa hai tu mera tujh pe dar-o-madar hai
meri dhaDkanon mein basa hai tu mera tujh pe dar-o-madar hai
Khwaja Shayan Hasan
MORE BYKhwaja Shayan Hasan
mirī dhaḌkanoñ meñ basā hai tū mirā tujh pe dār-o-madār hai
tuuhī merā sabr-o-qarār hai tū mire chaman kī bahār hai
jo tirī nazar meñ huuñ pur-ḳhatā jo tirī razā ho to de sazā
mire shauq kā hai ye silsila tirā dar hai terā dayār hai
tirī be-ruḳhī kā malāl hai tuuhī fikr hai tū ḳhayāl hai
terī zaat hī pe to munhasir mirī zindagī kā hisār hai
mire 'ishq kā tū junūn hai tirī diid merā sukūn hai
mire rū-ba-rū tū na ho agar na sukūn hai na qarār hai
tirī samt se jo ho be-ruḳhī to hai rā.egāñ mirī har ḳhushī
mire vāste to har ik ḳhushī tirā 'ishq hai tirā pyaar hai
mirā ek pal bhī na ho basar maiñ bichhaḌ ke tujh se jiyūñ agar
mirī maut kā na bane sabab ye jo hijr mujh pe savār hai
jo pilā ga.ī hai tirī nazar usī jaam kā to hai ye asar
mire zehn-o-dil meñ bhī aaj tak vahī nasha hai vo ḳhumār hai
jo 'hasan' kahe use chhoḌiye magar us ke dil ko na toḌiye
ye vafā kā dars-e-'azīm hai yahī chāhatoñ kā shi'ār hai
meri dhaDkanon mein basa hai tu mera tujh pe dar-o-madar hai
tuhi mera sabr-o-qarar hai tu mere chaman ki bahaar hai
jo teri nazar mein hun pur-KHata jo teri raza ho to de saza
mere shauq ka hai ye silsila tera dar hai tera dayar hai
teri be-ruKHi ka malal hai tuhi fikr hai tu KHayal hai
teri zat hi pe to munhasir meri zindagi ka hisar hai
mere 'ishq ka tu junun hai teri did mera sukun hai
mere ru-ba-ru tu na ho agar na sukun hai na qarar hai
teri samt se jo ho be-ruKHi to hai raegan meri har KHushi
mere waste to har ek KHushi tera 'ishq hai tera pyar hai
mera ek pal bhi na ho basar main bichhaD ke tujh se jiyun agar
meri maut ka na bane sabab ye jo hijr mujh pe sawar hai
jo pila gai hai teri nazar usi jam ka to hai ye asar
mere zehn-o-dil mein bhi aaj tak wahi nasha hai wo KHumar hai
jo 'hasan' kahe use chhoDiye magar us ke dil ko na toDiye
ye wafa ka dars-e-'azim hai yahi chahaton ka shi'ar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.