sitaron ke upar zamin hai nahin hai
sitāroñ ke uupar zamīñ hai nahīñ hai
ki do chaar māh-e-mubīñ hai nahīñ hai
nikaltā nahīñ shaiḳh kuTiyā se bāhar
kaho kyā yahī sirf diiñ hai nahīñ hai
sabhī aane vaale chale jā rahe haiñ
koī bhī yahāñ kā makīñ hai nahīñ hai
vo kahtā hai ham sā nahīñ milne vaalā
tumheñ is ke uupar yaqīñ hai nahīñ hai
bahut ḳhūbsūrat paḌe haiñ jahāñ meñ
batāo vahī ik hasīñ hai nahīñ hai
bhalā kaise hogī taraqqī hamārī
koī shahar bhar meñ amiiñ hai nahīñ hai
faqat ek mālik hai saare jahāñ kā
sivā us ke koī nahīñ hai nahīñ hai
hukūmat ke ‘shāyān’-e-shāñ tum kahāñ ho
jhukī rab ke aage jabīñ hai nahīñ hai
sitaron ke upar zamin hai nahin hai
ki do chaar mah-e-mubin hai nahin hai
nikalta nahin shaiKH kuTiya se bahar
kaho kya yahi sirf din hai nahin hai
sabhi aane wale chale ja rahe hain
koi bhi yahan ka makin hai nahin hai
wo kahta hai hum sa nahin milne wala
tumhein is ke upar yaqin hai nahin hai
bahut KHubsurat paDe hain jahan mein
batao wahi ek hasin hai nahin hai
bhala kaise hogi taraqqi hamari
koi shahar bhar mein amin hai nahin hai
faqat ek malik hai sare jahan ka
siwa us ke koi nahin hai nahin hai
hukumat ke ‘shayan’-e-shan tum kahan ho
jhuki rab ke aage jabin hai nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.