ishq ka kyun aaj duniya mein kahin charcha nahin
'ishq kā kyuuñ aaj duniyā meñ kahīñ charchā nahīñ
husn ke jalve pe koī dil kahīñ taḌpā nahīñ
ab na vo jazb-o-junūñ baaqī rahā na soz-e-'ishq
misl-e-bistāmī jahāñ ne mah-jabīñ dekhā nahīñ
ab junaid baġhdādī haiñ shiblī na ruumī haiñ kahīñ
aaj tak duniyā ne aise dil-nashīñ dekhā nahīñ
lutf-o-rahmat misl-e-bārāñ 'ishq-e-bahr-e-be-karāñ
phir zamīn-o-āsmāñ ne vo hasīñ dekhā nahīñ
āftāb-e-'ishq-o-'irfāñ qutub-e-'ālam har zamāñ
shaiḳh jaisā sāhib-e-sadr-e-nashīñ dekhā nahīñ
rāzdān-e-'ishq-o-'irfāñ jab se chhoḌe ye jahāñ
kyuuñ 'sirāj' gosha-nashīñ hai ab kahīñ jaatā nahīñ
'ishq ka kyun aaj duniya mein kahin charcha nahin
husn ke jalwe pe koi dil kahin taDpa nahin
ab na wo jazb-o-junun baqi raha na soz-e-'ishq
misl-e-bistami jahan ne mah-jabin dekha nahin
ab junaid baghdadi hain shibli na rumi hain kahin
aaj tak duniya ne aise dil-nashin dekha nahin
lutf-o-rahmat misl-e-baran 'ishq-e-bahr-e-be-karan
phir zamin-o-asman ne wo hasin dekha nahin
aaftab-e-'ishq-o-'irfan qutub-e-'alam har zaman
shaiKH jaisa sahib-e-sadr-e-nashin dekha nahin
raazdan-e-'ishq-o-'irfan jab se chhoDe ye jahan
kyun 'siraj' gosha-nashin hai ab kahin jata nahin
- Book : Soz-e-Ishq Suroor-e-Ishq (Pg. 80)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.