jism se niklī to pahuñchī kā’ba-e-maqsūd tak
be-libāsī ban ga.ī hai jāma-e-ehrām-e-rūh
do hī din meñ naujavānī rañg-e-pīrī lā.egī
ai jahān-e-jism ik din sub.h hogī shām-e-rūh
soz-e-ġham se āb-o-ḳhāk-o-bād haiñ ātish-mizāj
chaar unsur kā banā chaumukh charāġh-e-ḳhām-e-rūh
koī to jān-e-jahāñ mehmāñ sarā-e-dil meñ hai
dam-ba-dam pahuñchāte haiñ paik-e-nafas paiġhām-e-rūh
ḳhūb-rūoñ ko zarar pahuñchā sake kyā inqilāb
huur ho jaa.e jo likkhe koī ulTā nām-e-rūh
lo ḳhudā hāfiz ki aa pahuñchā hai 'ishq-e-kufr-zā
bhaag jaa.e dil baġhal meñ daab kar islām-e-rūh
thī muyassar 'arsh yā ab hai asīr-e-musht-e-kHāk
vaah kyā āġhāz thā aur kyā huā anjām-e-rūh
jaan kī kis ko ḳhabar dil hī nahīñ hai ai 'vazīr'
ho gayā gum vo nagīñ jis par khudā thā nām-e-rūh
jism se nikli to pahunchi ka’ba-e-maqsud tak
be-libasi ban gai hai jama-e-ehram-e-ruh
do hi din mein naujawani rang-e-piri laegi
ai jahan-e-jism ek din subh hogi sham-e-ruh
soz-e-gham se aab-o-KHak-o-baad hain aatish-mizaj
chaar unsur ka bana chaumukh charagh-e-KHam-e-ruh
koi to jaan-e-jahan mehman sara-e-dil mein hai
dam-ba-dam pahunchate hain paik-e-nafas paigham-e-ruh
KHub-ruon ko zarar pahuncha sake kya inqilab
hur ho jae jo likkhe koi ulTa nam-e-ruh
lo KHuda hafiz ki aa pahuncha hai 'ishq-e-kufr-za
bhag jae dil baghal mein dab kar islam-e-ruh
thi muyassar 'arsh ya ab hai asir-e-musht-e-kHak
wah kya aaghaz tha aur kya hua anjam-e-ruh
jaan ki kis ko KHabar dil hi nahin hai ai 'wazir'
ho gaya gum wo nagin jis par khuda tha nam-e-ruh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.