yād-e-chashm-e-surmagīñ meñ shab ko gar aatī hai niiñd
sūrat-e-murġh-e-nihāñ āñkhoñ se laḌ jaatī hai niiñd
niiñd ko bhī niiñd aa jaatī hai hijr-e-yār meñ
chhoḌ kar be-ḳhvāb mujh ko aap so jaatī hai niiñd
furqat-e-dil-dār meñ jo rāt-bhar aa.ī na thī
vasl meñ aate hue āñkhoñ meñ sharmātī hai niiñd
teġh kā phal khāyā āb-e-teġh pī kar so rahe
kasrat-e-āb-o-ġhizā se vāqa.'ī aatī hai niiñd
sote ho to chashm-e-bad-dūr āñkheñ rahtī haiñ khulī
fitna-e-bedār kyā aisī hī kahlātī hai niiñd
hijr meñ sone kī aisī hai tamannā ai 'vazīr'
dekhtā huuñ us ko hasrat se jise aatī hai niiñd
yaad-e-chashm-e-surmagin mein shab ko gar aati hai nind
surat-e-murgh-e-nihan aankhon se laD jati hai nind
nind ko bhi nind aa jati hai hijr-e-yar mein
chhoD kar be-KHwab mujh ko aap so jati hai nind
furqat-e-dil-dar mein jo raat-bhar aai na thi
wasl mein aate hue aankhon mein sharmati hai nind
tegh ka phal khaya aab-e-tegh pi kar so rahe
kasrat-e-ab-o-ghiza se waqa'i aati hai nind
sote ho to chashm-e-bad-dur aankhen rahti hain khuli
fitna-e-bedar kya aisi hi kahlati hai nind
hijr mein sone ki aisi hai tamanna ai 'wazir'
dekhta hun us ko hasrat se jise aati hai nind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.