chalā hai avval rāhat-talab kyā shādmāñ ho kar
zamīn-e-kū-e-jānāñ rañj degī āsmāñ ho kar
isī ḳhātir to qatl-e-'āshiqāñ se mana’ karte the
akele phir rahe ho yūsuf-e-be-kārvāñ ho kar
javāb-nāma kyā laayā tan-e-be-jāñ meñ jaan aa.ī
gayā yaañ se kabūtar vaañ se aayā murġh-e-jāñ ho kar
kiyā ġhairoñ ko qatl us ne mū-e-ham-rashk ke maare
ajal bhī dosto aa.ī nasīb-e-dushmanāñ ho kar
phirā sad-chāk ho kar kūcha-e-kākul se dil apnā
'azīzo yūsuf-e-gum-gashta aayā kārvāñ ho kar
nahāne meñ jo lahrātī hai zulf-e-yār dariyā meñ
taḌapne lagtī haiñ paanī pe maujeñ machhliyāñ ho kar
adā se jhuk ke milte ho nigah se qatl karte ho
sitam-ījād ho nāvik lagāte ho kamāñ ho kar
'vazīr' us kā huuñ maiñ shāgird jis ko kahte haiñ munsif
liyā mulk-e-mā’nī bādshāh-e-shā.irā’n ho kar
chala hai awwal rahat-talab kya shadman ho kar
zamin-e-ku-e-jaanan ranj degi aasman ho kar
isi KHatir to qatl-e-'ashiqan se mana’ karte the
akele phir rahe ho yusuf-e-be-karwan ho kar
jawab-nama kya laya tan-e-be-jaan mein jaan aai
gaya yan se kabutar wan se aaya murgh-e-jaan ho kar
kiya ghairon ko qatl us ne mu-e-ham-rashk ke mare
ajal bhi dosto aai nasib-e-dushmanan ho kar
phira sad-chaak ho kar kucha-e-kakul se dil apna
'azizo yusuf-e-gum-gashta aaya karwan ho kar
nahane mein jo lahraati hai zulf-e-yar dariya mein
taDapne lagti hain pani pe maujen machhliyan ho kar
ada se jhuk ke milte ho nigah se qatl karte ho
sitam-ijad ho nawik lagate ho kaman ho kar
'wazir' us ka hun main shagird jis ko kahte hain munsif
liya mulk-e-ma’ni baadshah-e-shaira’n ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.