nālāñ firāq dil meñ hai mātam-sarā-e-dil
siine se aa rahī hai sadā haaye haaye dil
hāzir hai lījiye ye agar kaam aa.e dil
kuchh aur paas ham nahīñ rakhte sivā-e-dil
aatī hai un ke kūcha-e-gesū se ye sadā
aao musāfiro ki yahāñ hai sarā-e-dil
bū ho ke gul meñ kyā dil-e-bulbul samā gayā
toḌā kisī ne phuul to aa.ī sadā-e-dil
āñkheñ lahū bahā.eñ jo sāġhar se mai gire
shīsha jo gir paḌe to mirā TuuT jaa.e dil
rāhat ga.ī agar to kyā rañj ne guzar
ḳhālī rahe 'vazīr' na mehmāñ-sarā-e-dil
nalan firaq dil mein hai matam-sara-e-dil
sine se aa rahi hai sada haye haye dil
hazir hai lijiye ye agar kaam aae dil
kuchh aur pas hum nahin rakhte siwa-e-dil
aati hai un ke kucha-e-gesu se ye sada
aao musafiro ki yahan hai sara-e-dil
bu ho ke gul mein kya dil-e-bulbul sama gaya
toDa kisi ne phul to aai sada-e-dil
aankhen lahu bahaen jo saghar se mai gire
shisha jo gir paDe to mera TuT jae dil
rahat gai agar to kya ranj ne guzar
KHali rahe 'wazir' na mehman-sara-e-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.