is qadar ham nā-tavāñ 'vazīr' haiñ
baazū apnī machhliyoñ ke ḳhaar haiñ
chāk-chāk apnā garebāñ ho chukā
in dinoñ dast-e-junūñ be-kār haiñ
rote haiñ ashkoñ ke badle ḳhūn-e-garm
abr haiñ ham lekin ātish-bār haiñ
jaate haiñ gulshan se le au bāġhbāñ
ham agar terī nazar meñ ḳhaar haiñ
dekh ke tujh ko magar hairāñ hue
ā.īne jo pusht-bar-dīvār haiñ
sāya-e-ḳhanjar meñ aayā ḳhvāb-e-marg
vaah kyā tāle.a mire bedār haiñ
kaun hai bezār in rozoñ 'vazīr'
ham jo apnī ziist se bezār haiñ
is qadar hum na-tawan 'wazir' hain
bazu apni machhliyon ke KHar hain
chaak-chaak apna gareban ho chuka
in dinon dast-e-junun be-kar hain
rote hain ashkon ke badle KHun-e-garm
abr hain hum lekin aatish-bar hain
jate hain gulshan se le au baghban
hum agar teri nazar mein KHar hain
dekh ke tujh ko magar hairan hue
aaine jo pusht-bar-diwar hain
saya-e-KHanjar mein aaya KHwab-e-marg
wah kya talea mere bedar hain
kaun hai bezar in rozon 'wazir'
hum jo apni zist se bezar hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.