naujavānoñ se tahī paayā kanār-e-pīr ko
is gumāñ meñ 'umr-bhar ham ne na dekhā tiir ko
tirchhī nazroñ se na dekho 'āshiq-e-dil-gīr ko
kaise tīr-andāz ho sīdhā to kar lo tiir ko
huuñ maiñ dīvāna mirī tasvīr bhī tinke chune
kahrubā ke rañg se khīñcho mirī tasvīr ko
tū na bosa de sakā lekin tire dīvāne ne
sar diyā shamshīr ko aur dast-o-pā zanjīr ko
haal is ġhaflat kade kā thā 'ayāñ roz-e-alast
ḳhvāb dekhā baa'd pahle sun liyā tā'bīr ko
dāman us gul kā jo aTkā phir ke dekhā naaz se
de ab ai bulbul du'ā.eñ ḳhār-e-dāman-gīr ko
paañv par dushman gire to jaan fikr-e-sar meñ hai
mat samajh be-vaj.h pā-e-sham.a par gul-gīr ko
naujawanon se tahi paya kanar-e-pir ko
is guman mein 'umr-bhar hum ne na dekha tir ko
tirchhi nazron se na dekho 'ashiq-e-dil-gir ko
kaise tir-andaz ho sidha to kar lo tir ko
hun main diwana meri taswir bhi tinke chune
kahruba ke rang se khincho meri taswir ko
tu na bosa de saka lekin tere diwane ne
sar diya shamshir ko aur dast-o-pa zanjir ko
haal is ghaflat kade ka tha 'ayan roz-e-alast
KHwab dekha ba'd pahle sun liya ta'bir ko
daman us gul ka jo aTka phir ke dekha naz se
de ab ai bulbul du'aen KHar-e-daman-gir ko
panw par dushman gire to jaan fikr-e-sar mein hai
mat samajh be-wajh pa-e-shama par gul-gir ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.