martaba paatā hai dast sīm-bar meñ ā.īna
saaf aatā hai nazar chāñdī ke ghar meñ ā.īna
kaun dekhegā ilāhī apne muñh ko vaqt-e-sub.h
shaam hī se hai tamannā-e-sahar meñ ā.īna
de ke dil us sañg-e-dil ko saḳht pachhtātā huuñ maiñ
kyuuñ diyā maiñ ne kaf-e-be-dād gar meñ ā.īna
zauq aisā ḳhud-numā.ī kā hai rū-e-yār ko
ban gayā mus.haf rajab meñ aur safar meñ ā.īna
partav-e-rukHsār-e-jānāñ jalva-gar har shai meñ hai
aañkh ho to dekh har barg-e-shajar meñ ā.īna
likh sakā ḳhat meñ na jab vasf-e-safā-e-rū-e-yār
de diyā āḳhir ko dast-e-nāma-bar meñ ā.īna
rakh ke 'āriz us pe soyā thā jo vo ā.īna-rū
ban gayā gul-takiya us kā rāt-bhar meñ ā.īna
martaba pata hai dast sim-bar mein aaina
saf aata hai nazar chandi ke ghar mein aaina
kaun dekhega ilahi apne munh ko waqt-e-subh
sham hi se hai tamanna-e-sahar mein aaina
de ke dil us sang-e-dil ko saKHt pachhtata hun main
kyun diya main ne kaf-e-be-dad gar mein aaina
zauq aisa KHud-numai ka hai ru-e-yar ko
ban gaya mushaf rajab mein aur safar mein aaina
partaw-e-rukHsar-e-jaanan jalwa-gar har shai mein hai
aankh ho to dekh har barg-e-shajar mein aaina
likh saka KHat mein na jab wasf-e-safa-e-ru-e-yar
de diya aaKHir ko dast-e-nama-bar mein aaina
rakh ke 'ariz us pe soya tha jo wo aaina-ru
ban gaya gul-takiya us ka raat-bhar mein aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.