kis kis ada se zinat-e-kaun-o-makan rahe
kis kis adā se zīnat-e-kaun-o-makāñ rahe
ham gul bane bahār hue bāġhbāñ rahe
is darja dushmanī to muqaddar kī baat hai
varna vo ek umr mere rāz-dāñ rahe
ai dil tamām raat kaTī un kī yaad meñ
ab do ghaḌī to aur koī dāstāñ rahe
maiñ aur ehtiyāt mohabbat kī raah meñ
ye kahiye vo to ḳhud hī mire pāsbāñ rahe
hai us kī ḳhaak meñ mirī umroñ kā rañg-o-bū
merā vatan ilāhī hamesha javāñ rahe
ahal-e-haram vahāñ haiñ yahāñ ahl-e-dair haiñ
ab kis se jā ke pūchhiye insāñ kahāñ rahe
kis kis ada se zinat-e-kaun-o-makan rahe
hum gul bane bahaar hue baghban rahe
is darja dushmani to muqaddar ki baat hai
warna wo ek umr mere raaz-dan rahe
ai dil tamam raat kaTi un ki yaad mein
ab do ghaDi to aur koi dastan rahe
main aur ehtiyat mohabbat ki rah mein
ye kahiye wo to KHud hi mere pasban rahe
hai us ki KHak mein meri umron ka rang-o-bu
mera watan ilahi hamesha jawan rahe
ahal-e-haram wahan hain yahan ahl-e-dair hain
ab kis se ja ke puchhiye insan kahan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.