Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kis tarah chhoḌ duñ ai yar maiñ chāhat terī

Fana Bulandshahri

kis tarah chhoḌ duñ ai yar maiñ chāhat terī

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    kis tarah chhoḌ duuñ ai yaar maiñ chāhat terī

    mere īmān hāsil hai mohabbat terī

    jaane kyā baat hai jalvoñ meñ tire jān-e-jahāñ

    yaad aatā hai ḳhudā dekh ke sūrat terī

    ab nigāhoñ meñ jachegā na koī rañg-o-jamāl

    merī āñkhoñ ko pasand aa ga.ī rañgat terī

    apnī qismat pe farishtoñ tarah naaz karūñ

    mujh pe ho jaa.e agar chashm-e-ināyat terī

    haram-o-dair ke jalvoñ se mujhe kyā matlab

    shīsha-e-dil meñ utar aa.ī hai sūrat terī

    āstāne se tire sar na uThegā merā

    mudda.ā ban ke milī hai mujhe nisbat terī

    maiñ 'fanā' ho ke pahuñch jā.ūñgā tere dar tak

    raah dikhlāne lagī mujh ko mohabbat terī

    kis tarah chhoḌ duñ ai yar maiñ chāhat terī

    mere īmān hāsil hai mohabbat terī

    jaane kyā baat hai jalwoñ meñ tere jān-e-jahāñ

    yaad aatā hai ḳhudā dekh ke sūrat terī

    ab nigāhoñ meñ jachegā na koī rañg-o-jamāl

    merī āñkhoñ ko pasand aa gaī rañgat terī

    apnī qismat pe farishtoñ tarah naz karūñ

    mujh pe ho jae agar chashm-e-ināyat terī

    haram-o-dair ke jalwoñ se mujhe kyā matlab

    shīsha-e-dil meñ utar aaī hai sūrat terī

    āstāne se tere sar na uThegā merā

    muddaā ban ke milī hai mujhe nisbat terī

    maiñ 'fanā' ho ke pahuñch jāūñgā tere dar tak

    rah dikhlāne lagī mujh ko mohabbat terī

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now