kise dekh kar aaj hum aa rahe hain
kise dekh kar aaj hum aa rahe hain
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
kise dekh kar aaj ham aa rahe haiñ
ki āñkhoñ se anvār barsā rahe haiñ
kahīñ dekho vo to nahīñ aa rahe haiñ
ki ham dard-e-dil meñ kamī pā rahe haiñ
jidhar jazb ham ko liye jā rahā hai
kiye band āñkheñ chale jā rahe haiñ
yahāñ un ko aanā nahīñ hai to phir kyuuñ
tasavvur meñ aa aa ke taḌpā rahe haiñ
mire saare shikve kiye rad ye kah kar
bajā aap irshād farmā rahe haiñ
ye sab soch kar dil lagāyā hai nāseh
na.ī baat kyā aap farmā rahe haiñ
kise dekh kar aaj hum aa rahe hain
ki aankhon se anwar barsa rahe hain
kahin dekho wo to nahin aa rahe hain
ki hum dard-e-dil mein kami pa rahe hain
jidhar jazb hum ko liye ja raha hai
kiye band aankhen chale ja rahe hain
yahan un ko aana nahin hai to phir kyun
tasawwur mein aa aa ke taDpa rahe hain
mere sare shikwe kiye rad ye kah kar
baja aap irshad farma rahe hain
ye sab soch kar dil lagaya hai naseh
nai baat kya aap farma rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.