Sufinama

aaj be-dildar ye dil be-KHabar hone laga

Kishan Singh Arif

aaj be-dildar ye dil be-KHabar hone laga

Kishan Singh Arif

MORE BYKishan Singh Arif

    aaj be-dildār ye dil be-ḳhabar hone lagā

    dard-e-furqat se merā TukḌe jigar hone lagā

    vasl shab ho chukī ruḳhsat qamar hone lagā

    āftāb-e-roz-e-mahshar jalva-gar hone lagā

    māh-rū be-mehr ho kar jab kahīñ pinhāñ huā

    paḌ gayā andher ghar meñ aur zarar hone lagā

    misl-e-gul bāhar gayā gulshan se jab vo gul-ezār

    ashk-e-ḳhūnī se merā tan tar-ba-tar hone lagā

    misl-e-majnūñ maiñ fidā us rashk-e-lailā par huā

    tab ḳharāb aur ḳhasta dekho dar-ba-dar hone lagā

    kar diyā barbād saarā ishq ne jab ḳhānumāñ

    shahar meñ charchā merā phir ghar-ba-ghar hone lagā

    sharāb-e-shauq maiñ jab us sanam ke ghar gayā

    māl-o-jāñ qurbāñ kiyā sab be-ḳhatar hone lagā

    us parī-paikar jab ġhairoñ se kuchh dil mil gayā

    ham se makr-o-jādū-o-sahar-o-hunar hone lagā

    kyā lagāyā yaar ne siine meñ tīr-e-nigāh

    qaus mānind merā kaj kamar hone lagā

    ashk hai āñkhoñ se jaarī vo nazar aatā nahīñ

    ātish-e-furqat dil ko ab asar hone lagā

    chhoḌ kar mujh ko gayā hai jab se gul-andām vo

    gulshan-e-jag aañkh meñ jiyūñ neshtar hone lagā

    kūcha-e-jānāñ meñ maiñ jaan dene ko khaḌā

    jāñ-rubā chamkā ke ḳhanjar bā-ḳhabar hone lagā

    sāmne rauzan ke kar dekhtā huuñ jab use

    shukr kartā huuñ ki maah zer-e-nazar hone lagā

    ab vahāñ aasan jamā kar baiThte haiñ roz-o-shab

    jis jagah us māh-paikar guzar hone lagā

    jab dikhāyā yaar ne dīdār apnā be-hijāb

    aql kāñpī ishq aa kar parda-dar hone lagā

    jo gayā paas us parī ke phir ke vo aayā nahīñ

    go koī dīvāna ban kar be-qadar hone lagā

    maiñ ne minnat se kahā ki baat o shīrīñ-dahan

    gāliyāñ de kar vo mujh se talḳh-tar hone lagā

    dilrubā ko dekhte uḌ ga.e hosh-o-havās

    dil merā mānind-e-gū zer-o-zabar hone lagā

    ālam-e-lāhūt meñ hargiz na thā kuchh dūsrā

    us se nīche aa ke shahr-o-bahr-o-bar hone lagā

    chashm-e-vahdat se jo dekhā hai usī ruup sab

    aab bahr-o-zāla-o-barf-o-guhar hone lagā

    'ārifā' qātil jab aayā teġh-e-vahdat haath le

    qatl ko gardan jhukā maiñ peshtar hone lagā

    aaj be-dildar ye dil be-KHabar hone laga

    dard-e-furqat se mera TukDe jigar hone laga

    wasl ki shab ho chuki ruKHsat qamar hone laga

    aaftab-e-roz-e-mahshar jalwa-gar hone laga

    mah-ru be-mehr ho kar jab kahin pinhan hua

    paD gaya andher ghar mein aur zarar hone laga

    misl-e-gul bahar gaya gulshan se jab wo gul-ezar

    ashk-e-KHuni se mera tan tar-ba-tar hone laga

    misl-e-majnun main fida us rashk-e-laila par hua

    tab KHarab aur KHasta dekho dar-ba-dar hone laga

    kar diya barbaad sara ishq ne jab KHanuman

    shahar mein charcha mera phir ghar-ba-ghar hone laga

    pi sharab-e-shauq main jab us sanam ke ghar gaya

    mal-o-jaan qurban kiya sab be-KHatar hone laga

    us pari-paikar ka jab ghairon se kuchh dil mil gaya

    hum se makr-o-jadu-o-sahar-o-hunar hone laga

    kya lagaya yar ne sine mein hi tir-e-nigah

    qaus ki manind mera kaj kamar hone laga

    ashk hai aankhon se jari wo nazar aata nahin

    aatish-e-furqat ka dil ko ab asar hone laga

    chhoD kar mujh ko gaya hai jab se gul-andam wo

    gulshan-e-jag aankh mein jiyun neshtar hone laga

    kucha-e-jaanan mein ja main jaan dene ko khaDa

    jaan-ruba chamka ke KHanjar ba-KHabar hone laga

    samne rauzan ke ja kar dekhta hun jab use

    shukr karta hun ki mah zer-e-nazar hone laga

    ab wahan aasan jama kar baiThte hain roz-o-shab

    jis jagah us mah-paikar ka guzar hone laga

    jab dikhaya yar ne didar apna be-hijab

    aql kanpi ishq aa kar parda-dar hone laga

    jo gaya pas us pari ke phir ke wo aaya nahin

    go koi diwana ban kar be-qadar hone laga

    main ne minnat se kaha ki baat o shirin-dahan

    galiyan de kar wo mujh se talKH-tar hone laga

    dilruba ko dekhte hi uD gae hosh-o-hawas

    dil mera manind-e-gu zer-o-zabar hone laga

    aalam-e-lahut mein hargiz na tha kuchh dusra

    us se niche aa ke shahr-o-bahr-o-bar hone laga

    chashm-e-wahdat se jo dekha hai usi ka rup sab

    aab bahr-o-zala-o-barf-o-guhar hone laga

    'arifa' qatil jab aaya tegh-e-wahdat hath le

    qatl ko gardan jhuka main peshtar hone laga

    Source :
    • Book : Diwan-e-Arif (Pg. 13)
    • Author : Kishan Singh Arif
    • Publication : Matbu-e-Noor Press, Amritsar
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now