ai sanam jab se hui hai aashnai aap ki
ai sanam jab se huī hai āshnā.ī aap kī
dekhtā huuñ tab se hī maiñ bevafā.ī aap kī
gar milūñ to tund-ḳhū ho gāliyāñ dete ho tum
duur rahne se satātī hai judā.ī aap kī
bahr-e-ulfat meñ Duboī muft apnī aabrū
dekh kar bhūle the dilbar dilrubā.ī aap kī
jān-o-dil le kar gayā tū dīn-o-duniyā kar ke saaf
qābil-e-tārīf hai sāhab safā.ī aap kī
maiñ fidā huuñ aap par aur aap ho mujh par ḳhafā
ye merī taqsīr hai yā kaj-adā.ī aap kī
jāntā huuñ ḳhuub ham-sar hai koī terā nahīñ
ḳhud hī ye tum kar rahe ho ḳhud-setā.ī aap kī
kaun likh saktā hai tere vasf ai mere husain
zulfiqār-e-ḳhāma detā hai duhā.ī aap kī
kushta-e-marjāñ ko bhūle aur vo rañg-e-zāfrān
dekhe jo dast-e-hinā.ī yā kalā.ī aap kī
'ārifā' sab mulk-o-daulat aap ke mālik ho tum
aap hī phir lūTte ho hai duhā.ī aap kī
ai sanam jab se hui hai aashnai aap ki
dekhta hun tab se hi main bewafai aap ki
gar milun to tund-KHu ho galiyan dete ho tum
dur rahne se satati hai judai aap ki
bahr-e-ulfat mein Duboi muft apni aabru
dekh kar bhule the dilbar dilrubai aap ki
jaan-o-dil le kar gaya tu din-o-duniya kar ke saf
qabil-e-tarif hai sahab safai aap ki
main fida hun aap par aur aap ho mujh par KHafa
ye meri taqsir hai ya kaj-adai aap ki
jaanta hun KHub ham-sar hai koi tera nahin
KHud hi ye tum kar rahe ho KHud-setai aap ki
kaun likh sakta hai tere wasf ai mere husain
zulfiqar-e-KHama deta hai duhai aap ki
kushta-e-marjaan ko bhule aur wo rang-e-zafran
dekhe jo dast-e-hinai ya kalai aap ki
'arifa' sab mulk-o-daulat aap ke malik ho tum
aap hi phir luTte ho hai duhai aap ki
- Book : Diwan-e-Arif (Pg. 88)
- Author : Kishan Singh Arif
- Publication : Chashma-e-Noor Press, Amritsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.